Google Chrome me Hide Game kaise khele ?






Hi Friends, hum sabhi jante hai ki Google Chrome Browser sabse popular Browser hai. Jiska hum sabhi use karte hai.

Ye apne interested features ke karan aaj sabse popular Browser hai. Jisme bahut sare Option hai aur sachmuch iska use karna kisi aur  Browser se kafi aasan hai.

Aese me agar iske bare me ek intrested jankari jo aap logo ke sath share ki jaye vo ye hai ki aap isme Ofline Game bhi khel sakte hai.

Hum jab kabhi kabhi apne kam se bored ho jate hai ya fir kis karan se Internet kam karna band kar deta hai to hmare pass kuchh bhi karne ko nhi hota hai. Aur aese me Google Chrome Browser me Hide ye Offline Game kafi intrested chij hai.

Matlab ki agar aapake paas kisi khas time par Internet Connection nhi hai to app Google Chrome Browser ka use Offline Game khelne me bhi kar sakte hai jiske liye aapko Internet Connection ki jarurat bhi nhi hoti hai.

Aur iske bare me sabse badi baat ye hai ki aap ise apne Computer ke Google Chrome Browser ke sath sath apne Mobile ke Google Chrome Browser me bhi iska use kar sakte hai.

Google Chrome Browser me Hide ek Offline Game hai jiska name hai "dainashore game" matlab ki aap Google Chrome Browser ke iss Offline Game me ek dainashore ko tab tak run kar sakte hai jab tak ki yeh aane vali badhao se takra kar Game Over na ho jaye.

To chaliye jante hai ki Google Chrome Browser me hide iss game ko Offline kaise khelte sakte hai.

Ye Bhi Padhe :


How To Play Hide Game of Google Chrome Browser in Hindi?

Jesa ki mene phele btaya ki Google Chrome Browse ke iss Offline Hide game ko aap apne Mobile aur Computer dono me khel sakte hai.


Aur iska use krne ka tarika dono (Mobile aur Computer) me ek hi jesa hai.
Aur ise khelne ke liye aapko ek chij ki jarurat nhi hai. vo >> Internet Connection

Matlab ki aap ise tab tak nhi khel skte hai jab tak ki aapne apne Mobile ya Computer me Internet use kar rhe hote hai.

Aur agar kisi karan aapka internet Connection kam krna band kar deta hai to phir aap iska interest le skte hai.

Agar aap ise apne Mobile ya Computer me abhi khelna chahte hai to apne Internet Connection ko 'Disconnect' kar de. ya phir ise 'Airplane Mode' me kar de jis se aapka internet Connection Disconnect ho jaye.

Ab Google Chrome Browser me kisi bhi Website ke Link par Click kare. jis se aapke samne ek Error Message aayega jisme likha hoga ki >> "There Is No Internet Connection"




Ab agar aap Computer par esa kar rhe hai to iske baad 'Space Key' press kare jiske baad ye Dainashore Run karne lagega.

Aap ise uper ya niche lane ke liye Arrow Key ka use kar skte hai. ya phir ise uper krne ke liye Space Key ka bhi use kar skte hai.




Aur agar aap Mobile par hai to phir aap ise suru krne ke liye iss par touch kare. aur ise uper lane ke liye iss par dubara touch kare.

Aise aap Google Chrome Browser me Hide iss Offline Game ka interest le skte hai. 

Aap iss Google Chrome Browser ke Hide Game ko khele aur isme High Score laye aur hume niche ke comment box me jarur bataye.

To friends ye thi Google Chrome Browser me Hide Offline Game ko khelne ki trick. I hope aap ko ye pasand aayi hogi.


Aap chahe to humari iss Video ko Dekh kr bhi achhe se sikh sakte he.


Google Chrome Browser में छुपी हुई Offline Game कैसे खेलें ?


Comments