Facebook Page Kya Hai aur Kaise Banaye ?



Agar aapke pass Facebook page nahi hai to shayad aapko Facebook ki takat ka andaja nahi hai. Facebook Fan page se aap apni website par bhot jada traffic la sakte hai aur paise kama sakte hai. Aur India me Jadatar log Facebook ko hi use karte hai. Badi Badi companies se lekar Bollywood ke actors tak, sab log Facebook Page apne prachar ke liye use karte hai.
Chalo jada details me jane se pehle hum ye jaan le ki Facebook Page hai kya aur Ise Banate kaise hai.

Facebook Page Kya Hai?

Facebook page ko hum “Fan Page” bhi kehte hai. Facebook page kisi bhi bare me ho sakta hai jaise ki: Bollywood Actors (Salman Khan, Amitabh Bacchan), Politicians (Mr. Modi, Mr. Kejriwal), Companies (Airtel, Patanjali), Subject (Maths, Grammer). Ye sab log aur companies apna Facebook page banakar apne vichar, photos, activities kuch bhi daalti hai.
Jaise ki agar koi nayi scheme launch hoti hai to Airtel apne page par uske bare me daal deti hai, aur jo bhi log unke page ko follow karte hai unhe uske offer ki turant jankari mil jati hai.
Sabse sahi baat ye hai ki koi bhi Facebook page bana sakta hai, bas Facebook id honi cahiye.

Facebook Page ke Fayade

  • Facebook page Google ke search me upar aate hai
  • Ispar aapko unlimited log follow kar sakte hai (jabki profile me aapse sirf 5000 log jud sakte hai)
  • Page banana bilkul Free hai, iska matlab aap apne business ko free me promote kar sakte hai
  • Ispar aap apne business ko jitna cahe utna badha sakte hai
  • Airtel, Idea wale to Facebook page par customer support tak dete hai

Facebook Page Kaise Banaye ?

Facebook par Page banane ke liye niche ke Steps ko Follow kare :-

Step 1 : Facebook account me login kare


Agar aapke pass Facebook account nahi hai to pehle Facebook account kaise banaye ( “yaha click kare”) par jake apne facebook account banale uske baad yahi se padna shuru kare.
Login karne ke baad upar right corner me down arrow par click kare, isme se Create Page ke option par click kare.



Step 2 : Page ki category or naam select kare

Next jo page khulega uspar se aap apne page ke liye category select kare. Aap agar apne local business ko bhadane ke liye page bana rahe hai to pehla box select kare.



Humne doosra option select kiya hai kyoki hamara “Institution” work hai. Agar aapki company hai to aap bhi ye option select kar sakte hai.
Option par click karte hi ek form aa jaega.

Is form me jo pehla option hai upar click karte hi ek dropdown khul jayega, is dropdown me se apne page ke liye category select kare.
Aur dosre option me apne page ke liye naam bhare. Aapka page isi naam se jana jayega.
Form bharne ke baad Get Started par click kare.

Step 3 : Profile Picture lagaye



Bilkul Facebook profile ki tarha Facebook page ki bhi ek profile picture hoti hai, Isko lagana bhi bohot aasaan hai. Is page par Upload a Profile Picture par click kare.




Windows explorer khul jayega, isme se jo koi bhi apko profile picture cahiye use select kare, aur open par click karde

Open karte hi aapke page par profile picture lag jaegi.

Profile picture set karne ke baad 

Step 4 : Cover Photo lagaye

Bilkul Facebook Cover Photo ki tarha Facebook page ki bhi ek Cover Photo hoti hai, Isko lagana bhi bohot aasaan hai. Is page par Upload a Cover Photo par click kare.



Ab apka page ready hai. Bas 4 Steps ka khel tha, aap jitne chahe utne pages bana sakte hai hai, koi problem nahi hai.



Agar aspke paas is article se sambhandit koi bhi sawaal ho to neeche diye gaye comment box me dale. Aur agar ye article apko acha laga to apne dosto se Facebook par jaroor share kare.
Thank you 🙂
Ye Bhi Padhe :

Comments