Bank Account Kya Hai ? Types Of Bank Account In Hindi ?



pichale Kus time se India me sabse jyada kus chal raha hai to wo hai Banking aaj bhi kus log aise hai jo Bank Account ke bare me nahi jante hai ki Aakhir bank account kya hai or Bank Account kitane types ke hote hai .

social media par Panarainfo ke readers ne Bank Account ke types ke bare me pucha tha or bank accounts kya hai aise sawal mujse pucha tha In Friends ka jawab me Bank Account Kya Hai or Types of bank account ki post me de raha hu .
agar aap kabhi bank gaye hai to aap ko pata he hoga ki Alag alag kaam ke liye sab log bank me aaye hote hai or aap ko bhi bata du ki bank me jitane bhi man work kar rahe hai in sab ka kaam alag alag hota hai .
So friends bank Account me bhi aise he hota hai Bank me different types ke Four alag alag Bank account hote hai or ye 4 types ke account ka work alag alag hota hai In ke bare me yaha par me aap ko batane wala hu .
In this tutorial me What is a bank account ? Types of bank account, or bank account ke sari jankari aaj me is article me shear karunga To aap se request hai ki Mera ye post end tak jarur read kare .

What Is A Bank Account ? Bank Account Kya Hai ?


sawal to sahi hai to dosto Bank accounts means ki bank apne customers ko Bank me apne system ko follow kar ke Ek profile teyaar karta hai or ek Book me sab jankari Add kar deta hai or passport size photos  laga dete hai
jub humare account document ke sath verify ho jayega to bank ki traf se hume ek passbook diya jata hai jin me Humare bank account number hote hai or bank accounts, me paise, transection, mini statement, Debit card, credit card aise sari jankari add kar de jati hai
bank me jab hum account open karte hai to hume passbook mil jata hai or in me bank ki sari jankari hoti hai is book ke help se hum bank ka sara kaam kar sakte hai
Ab umid karta hu ki aap ko what is bank account ? bank account kya hai is ke bare me Pata chal gaya hoga

Types Of Bank Account In Hindi Bank Account Kitane Prakar Ke Hote Hai ?


1 ) Current Accounts ( चालू खाता )
ye Current Account hai ye account jayda business man or bade bade vyapari ya Company ke malik use karte hai, Current account me Paise ki koi limit nahi hota hai Din me kitane bhi paise bank se nikal sakte hai or Add kar sakte hai
current account me bank koi interest nahi Deta hai, but bank accounts holders se Charge jarur leta hai, other Bank Account ki trah Current account me bhi aap Debit cards, and credit card ka use kar sakte hai or Bank ke sari services bhi use kar sakte hai
2 ) Savings Account ( बचत खाता )
saving account means ki hum jitane paise bank me rakhte hai itne paise ka bank hume intrest deta hai or current account me aap ko intrest nahi milta hai Saving account me sab limit hoti hai paise nikalne ki or paise jama rakhne ki
saving account khas kar ke Students, Government Job wale, ya small business chalne wale people’s saving account ka use karte hai, Saving account me kabhi bhi paise Add kar sakte hai or bank se paise nikal sakte hai
3 ) Recurring Deposit Account ( आवर्ती जमा खाता )
Recurring Deposit Account wahi logo ke liye hota hai jo har month Bank me paise add karwane ki capacity rakhta hai, is account me time limit or money fix hoti hai 1 years se le kar 10 years tak Har month fix rate add karni hoti hai or 10 years ke baad Bank hume intrest ke sath Paise wapas karta hai
Recurring Deposit account me time limits pura karna hota hai agar hum bich me he paise add karna chod dete hai to bank se intrest nahi milega Or Bank me Time se pahle paise nahi nikal sakte hai
khash baat ye ki bank me Aap jitane paise par month add karenge itana jyada intrest aap ko milega, Recurring Deposit Account ki achi bat ye hai ki aap Partner me bhi ye account open karwa sakte hai
4 ) Fixed Deposit Account ( Fix जमा खाता )
Fixed Deposit Account me Paise ko Time Limit fix kar ke Bank mai rakha jata hai aap ko Fixed Deposit account Open karne ke liye pahle paise ki jarurat rahegi is ke baad he hum account open kar sakte hai
Fixed Deposit account me hum 7 Din se le kar 10 year’s ke liye paise rakh sakte hai is ke baad bank hume intrest ke sath paise wapas karega, FD Account me hum Time limit puri hone se pahle paise nahi nikal sakte hai or kisi bank me paise return karte hai to Aap ka Fixed Deposit Remove kiya jayega
aise hum. fixed deposit account me paise rakh skate hai or aise hume bank acha intrest provide karega
aap dekh sakte hai Maine bank ke 4 Types ke bank account ke bare me bataya hai apni jarurat ke hisab se bank accounts open karwa sakte hai

Kya Aap Ko Pata Hai ? Hum Jo Paise Bank Me Add Karwate hai Bank Un Ka Kya Karta hai ?

Abhi bhi kus log aise bhi hai jo bank ke pure systems ke bare me nahi jante hai, Kya aap ne kabhi socha hai bank hum se paise le kar kya karta hai ? or Hume Paise ke upar itana intrest ( व्याज) kyu provides karta hai ?
Dosto Hum jo paise bank me add karwate hai wahi paise ko bank Dusre logo ko loan kar deta hai Matlab Hum jo paise bank me add karwate hai bank un ka 2% se 3% tak Intrest hume provide karta hai lekin jab koi bank se personal loan ya other work ke liye paise leta hai to In ka intrest rate 9% se jyada raheta hai
aise bank hum se 2% intrest de kar 9% se bhi jyada par loan deta hai or baki ke paise bank khud rakhta hai aise bank humare paise ka use kar ke Apna business chlata raheta hai
aise bank ne 4 types ke bank account ka systems teyaar kiya or log apni jarurat ko pura kar sake aisa system teyaar kiya or India me aaj bhi aise bank chalta hai or jarurat hone par bank hume paise return kar deta hai
aise maine yaha bank accounts ke sare sawal clear kar ke aap ke sath article shear kiya hai agar aap ka koi sawal hai to comment kar ke humare sath shear kare mai aap ko support karunga

Thank You 😍


Ye Bhi Padhe :




Comments