QR Code Kya Hota Hai?
Hum me se bohot logo ko kayi bar TV, Internet ya ki poster par QR code laga dikhata hai. Leking kya aapko pata hai ki QR code hota kya hai?
QR code ek code hai jo ki machine dwara hi padha jata hai. Ye code Black and White squares ka bana hota hai. QR code ko hum 2D bar code bhi kehte hai. Agar aapne kabhi nahi dekha to ye kuch is tarha dikhta hai.
QR code mobile camera ki help se scan hota hai. Is code ko scan karne ke baad aapke mobile me code ke andar store ki hua data khul jayega. Agar aapne Aadhar card dekha hoga to usme bhi ek QR code aata hai. Aadhaar card ke QR code ko agar aap apne mobile se scan karege to mobile me jiska Aadhaar card hai uski jaankari aa jayegi.
QR code ke dwara website bhi khul sakti hai, Apps bhi download ho sakti hai kayi showroom wale QR code ke dwara discount bhi dete hai. Chalo ab dekhte hai ki QR code scan kis tarha kare.
QR code scan karne ke liye sabse pehle apne mobile me “QR code reader” app download kare.
Ab apni nayi installed app me jaakar kisi bhi QR code ko scan karke dekhe.
Is article mai sabse upar diye gae code ko agar aap scan karege to aapke mobile mai kyakyuorkaise.blogspot.in khul jaegi.
Aap bhi apna QR code aasani se bana sakte hai. Internet par bohot se websites hai jo aapko QR code generate karne me kaam aati hai. Mai apni website ke liye QR code http://www.qr-code-generator.com/ se banaye hai.
Kya aapne kabhi QR code ka istimaal kiya hai, agar haan to apna experience neeche comments me likhe.
Comments
Post a Comment