Pixel Or Mega Pixel kya hai ?

Pixel Or Mega Pixel  kya hai ?

Hum sab ko pata hai ki mobile ka camera jitne jada Mega Pixels ka hoga utni jada uski clarity hogi, aur jab hum mobile ke screen ki baat karte hai to jitne jada Pixel (Resolution) ki screen hogi utni jada clarity hogi. Lekin iss aage ki baad ki Pixel kya hai ye hum nahi jaante. Aur isi Gyan ki kami ki wajha se hum acha Mobile nahi khareed paate.
Is article me hum Pixels aur Mega Pixels ke baare me baat karege.

Pixels kya hai ?
Chalo pehle screen par pixels ke baare me baat karte hai
“Pixel” naam “Picture element” se bana hai, Pixels wo chote chote Dots ya element (तत्व) hai jinse milkar hamari sabhi screens banti hai.
Hamari screen lakho – croro pixels ko ek sath matrix me daalkar bani hoti hai. Aap pixels ko bohot chote chote bulbs bhi samjh sakte ho jo alag alag rango me chalkar hamari screen par koi bhi Picture banate hai.
Ye ek Dot Matrix display hai jisme 8×8 ke matrix me LEDs lagi hoti hai. Is tarhe ke display me alag alag rango me LEDs jalkar Display par kuch bhi bana sakti hai. Is LEDs ya Dots ko hum Pixels keh sakte hai.
To kehne ka matlab ye hai ki Pixels display ki sabse choti unit hai, aur hum pixels mai apni screen ko naam sakte hai. Ye display 8X8 ka hai.
Jadatar low range mobile ki display normally 320×480 pixels ki hoti hai, ab itne chote se area mai itne saare pixels laga diye jaate hai ki hamari ankh kisi ek pixel ko dekh bhi nahi paati.
Screen par jitne jada pixels aa sakte hai unhe hum resolution kehte hai, jese ke 640×480 jime 640 pixels to horizontally lage hote hai aur 480 pixels vertically biche hote hai. Aur screen ka jitna jada resolution hoga utne hi jada screen ki quality hogi.

Aapne dekha hoga ki Printe 3 rango ka use karke kisi bhi tarha ki image ko print kar sakta hai. Isi tarha ek pixel ko kisi bhi tarha ke range mai chamakne ke liye 3 rango ki jaroorat hoti hai. Inhe RGB (Red-Green-Blue) kethe hai.


iPhone 6 ki screen lense laga kar dekne me kuch aise dikhti hai. Aur aap dekh sakte hai ki Har ek pixel 3 rango ko milakar bana hua hai.


Camera mai Mega Pixels kya hote hai?
1MP ya 1 Mega Pixel mai 10,00,000 (1 million) pixels hote hai. Koi bhi digital image in Pixels ko milakar bahi hoti hai. Jitne jada pixels hoge uti jada image ki quality hogi.

Kisi bhi Digital camera ya Mobile camera ke resolution ko megapixels mai naapa jata hai. Agar kisi mobile ka 8-megapixel camera hai to iska matlab ki wo camera 80 Lakh pixels ki photo ko kheech sakta hai.
Hamare mobile ki screen 3-4 megapixels ki image mai farak bata sakte hai. Lekin iske baad sabhi images zoom in kiye bina ek jesi lagti hai kyo hamare mobile mai itne jada pixels nahi hote. Jab hum apne mobile par kisi photo ko jada zoom kar dete hai to uske pixels dikhne lag jate hai (ise kahi log image phatna bhi kehte hai). Lekin aap 5 aur 8 megapixel ki photo mai badi screen jese ki laptop par farak dekh sakte ho.
Jada megapixels wala camera jada badi size ki image banata hai, kyoki isme pixels jada hote hai. Aap agar ache camera se choti Photo click karna cahte hai to aap apne camera ke MP camera settings mai kam kar sakte ho.
Ese hi aur jaankari ke liye hume Facebook par like or hume Subscribe kare.
Thank You 🙂
Ye Bhi padhe:




Comments