ICICI ATM CARD BLOCK KAISE KARTE HAI?

ICICI ATM CARD BLOCK KAISE KARTE HAI ?

Hello friends. My name is Gaurav kumar Rajoriya - kyakyuorkaise par apka swagat hai. Aaj is article me main apko batunga ki ICICI Bank Ka Atm Card Block Kaise Karte Hai. ICICI Bank india ke dusri sabse bade bank me se ek hai. India ke lagvag sabhi chhote bade cities aur village me ICICI ka brance apko mil jayega. Jin logo ke Bank Account icici me hai obviously woh icici ka Atm/Debit card hi use karte honge.


agar apke Atm card kabhi kho ya chori ho jata hai to kiya apko pata hai Atm Card Ko Block Kaise Karte Hai. Agar apko nahi pata ki icici atm card ko block kaise kiya jata hai to is article ko last read kare. Yha par main apko icici bank ka atm card block karne ke bare main details me bataunga.

Agar apko nehi pata ki ATM card ko block karne ki jorurat kab padta hai to ache se sunkar samajh lijiye, taki future me aap kisi Fraud ka seekar na ho. Atm/Debit card ko block karne ki jorurat hume tab padta hai jab humari atm card kho/lose ho jata ho ya atm card chori ho gaya ho. Iske elaba agar aapke permission ke bagar apke atm card se payment ya paise withdraw hota hai to apko immediately us atm card ko block kar dena chahiye.

ICICI bank ka atm card aap chhar tariko se block kar sakte hai.

(1) Internet Banking.
(2) Mobile Banking.
(3) Call Center.
(4) Branch Visit

Aap in char tariko me se kisi ek ko choose karke apni icici debit card block kar sakte ho. Niche main apko in char tariko ke bare main details me bataunga.

ICICI Atm Card Block Kaise Kare ?


Yha par main apko icici atm/debit card block karne ki 4 tarike bataunga. Aap in me se kisi ek ko choose karke apne atm card ko block kar sakte ho-

Internet Banking Se ICICI Ka Atm Card Block Kaise Kare ?

Step-1:- Sabse pahle apko ICICI Internet Banking Site par jakar login karna hoga. Niche main link de raha hu, agar apka Internet Banking Activate hai to jakar login karle.


Step-2:- Login karte hi ICICI Net Banking ka Home page open hoga. Home Page ke top Menu section par  My Accounts  par click karke  BankAccounts  par jaiye.

Step-3:- Yeha apko  Services Request  par click karna hai.

Step-4:- Ab apko  ATM/Debit Card Related  par jana hai.

Step-5:- Yeha par  Block Atm /Debit Card  ka option aayega uspar click karke apne atm card ko block kar dijiye.

Mobile Banking Se ICICI Ka Atm Card Block Kaise Kare ?

Step-1:- Sabse pahle aap iMobile app ko install karke Setup karle. iMobile  icici bank ka official app hai, isme kyi risk nehi hai. Niche main link bhi de raha hu.

Step-2:- iMobile ko setup karne ke bad Home page par  Smartkeys & Services  ka option hoga uspar click karde.

Step-3:- Ab apko  Card Services  par click karke  Block/Unblock Debit Card  par jana hai.

Step-4:- Abhi Card block/unblock karne ka page open hoga. Yeha par apko apne card ki sari details dena hoga.

            
1. Debit card select kare.        
2. Block select kare        
3. Iske apko Account Number select karna hoga.        
4. Card Number select kare.a        
5.  card ko Permanent ya Temporary block karne chahte ho woh chune.        
6. Last me  Submit  par click karde.

Customer Care Me Call Karke Atm Card Kaise Block Kare ?

ICICI Atm card aap Customer Care me call karke bhi block kar sakte hai. Iske liye aapko bank me registred mobile number se ICICI bank ke local Customer Care me call karna hoga. Apki location ke icici customer care numbwer janne ke liye yeha click kare- Find Icici Customer Care Number. Call center me call karke bataye ki aapka card loss gaya hai aur aap usko block karna chahte ho. Customer care se aapki Account details aur Card details mangega. Agar aap sab kuch sahi sahi batayega to woh apki Atm Card Block kar dega.

Branch Me Karke Atm Card Kaise Block Kare ?

Upar diye teen tariko ke elaba aap icici branch me visit karke bhi apni icici Atm card ko block kar sakte ho. Iske diye apko apni home branch ya apki nearest kisi bhi icici branch me visit karke atm apni atm card ko block karba sakte ho. Iske liye aapko apni Original Id prof aur Account Passbook (apke pas hai to) sath me le jana hoga.

To friends yha par maine apko bataya ki ICICI Atm card ko block kaise karte hai. Mujhe ummid hai ki ye article apke liye bahut helpful rahega. Agar apka koi sawaal ya sujhaav ho to comment karke bata sakte ho. Agar Aapne abhi tak humare Facebook Page - kyakyuorkaise ko like nahi kiya hai to please abhi karle,  or hume subscribe karna na bhule taki new article ki jankari aap tak pahunche sabse pahle. 


Is article ko padhne ke liye bohot bohot Dhanyawad.


Ye Bhi padhe:


Comments