Email Kaise Bhejte Hai
Email Id kayi kaamo me use aati hai, aur lagbhag sabhi log ise lagatar use karte hai, chahe wo Files bhejna ho, office ka kaam bantna ho ya apna Facebook account kholna. Par hum me se kayi log aise hai jinhone Gmail par naya account banaya hai aur abhi unhe nahi pata ki Gmail se Email Kaise karte hai. Agar aap un logo me se hai to ye article aapke liye hai.
Email bhejna bilkul chitthi bhejne jaisa hai, Bilkul chitthi ki tarha Email bhejne ke liye hume pehle se kuch cheeze cahiye hoti hai, wo hai:
- Jisko Email bhejna hai uska Email Address
- Email kis bare me hai, matlab Email ka subject
- Aur Email me kya sandesh likhkar bhejna hai uski jankari
Email Banane ke Steps:-
Ye teeno cheeze Email bhejne ke liye jaroori hoti hai.
1. Sabse pehle apne Gmail accaunt me login karo.
2. Login karne ke baad Left side me ek lal range ka button hoga, jispar “Compose” likha hoga. Us button par click kare. Hindi me compose ka matlab “likhe” hota hai.
- Sabse pehle Jisko Email bhejna hai uska Email Address bhare
- Doorse Field me apne Email ka vishye matlab subject dale
- Teesre badi field me aapko jo bhi sandesh ya messagebhejna hai wo bhare.
- Poora email banae ke baad Send par click kare aur Email bhejde.
Dekhiye is Email me maine kis tarha Details bhari hai. Ab jab maine send par click kiya to upar ek message se mujhe pakka hogaya ke email send ho chuka hai.
Bohot simple hai Email bhejna, Agar aapko apna resume ya koi File bhi Email ke sath bhejne hai to me apne agle article me aapko batauga ki Gmail ke sath File kis tarha attach karte hai.
Agar aapka is article ko padne se kuch fayada hua to aise hi aur articles ki jankari ke liye hume Facebook par Like kare or hume subscribe kare. 
Thank You :
Ye bhi padhe:
Comments
Post a Comment