G-MAIL KYA HAI ?

Hello dosto, Aaj ki ish post me mai apko bataunga ki Gmail kya hai, Gmail ka use kaha par hai (What is Gmail And What is use of Gmail in hindi) Gmail Service ke bare me batane se pahle apko pta hona chahiye  ki akhir Email kya hai?

Agar aap nhi jante hai to aap yha par click kare Email kya hai?

G-MAIL KYA HAI

Gmail Google ki free Web based email service hai. Aap free of cost ish service ka use kar sakte hai. Gmail service 1 April 2004 ko launch hui thi. Gmail service mein 72 languages me available hai. Feburary 2016 tak ki report ke Anusar Gmail service par 1 billion se bhi jyada users register ho gaye the. Gmail service 'Paul Buchheit' ne develop ki thi. Gmail ek secure webmail email service hain. Jab ye service launch hui thi tab iska storage 1 GB tha. Storage updatation niche diya hua hain.

1 April  2004    -Gmail ne 1 GB space launch kiya
1 April  2005    -Gmail ne limit badhakar Double kar di 1GB to 2GB
24 April2012  -Gmail ne Google drive launch kiya aur storage 10 GB tak badha di
13 may  2013  -Google Drive+Gmail mails+Google plus photos ke liye 15GB tak space allow kiya.


According to 2015 Google ne 15GB space tak hi rakha aur agar koi user personal use ke liye Storage kharidna chahe to usko 30 TB tak space milta hai. Iske alava bhi Google ne aur bahut se features add kiye jaise ki Spam Filter, Google voice chat in Gmail, Gmail search, Money transfer payment options with the help Google wallet, Gmail security etc. add kiye.


April 2016 mein Gmail service ki ALEXA RANK 89 thi.( Dosto Alexa ek website hai jis par kisi bhi Website ki World wide Rank pata lagti hai).Gmail ko access karne ke liye apko Email id and password ki bhi jarurat hoti hai.

Dosto world me sabse jyada use hone wali email service gmail hi hain, Aap Gmail Account se Google ki in services ka use free of cost kar sakte ho jo niche di hui hai.



  1. YOUTUBE
  2. GOOGLE PLUS
  3. GOOGLE ADSENSE
  4. GOOGLE MAP
  5. GOOGLE NEWS
  6. BLOGGER
  7. GOOGLE TRANSLATE
  8. PLAY STORE
  9. GOOGLE DRIVE
  10. GOOGLE PHOTOS
  11. GOOGLE MUSIC
  12. GOOGLE DOCUMENTS   etc.
aese hi bahut sare Google programs hai jinko aap Google Id aur password se access kar sakte hai. Agar aap Gmail ke alva kisi dusre provider ki mail service chahte ho to aap in services ko use kar sakte ho jo niche di hui hai.

  1. YAHOO MAIL
  2. HOT MAIL
  3. REDIFF MAIL   etc.
par dosto ek baat yaad rakhe agar aap gmail ke alava koi aur mail service use karte ho to aap Google Programs ka use nahi kar sakte ye Google id(Gmail Id) and password ye hi access hogi.

Ummid hai dosto Aaj ki yeh post  Gmail Email kya hai, Pasand Aayi hogi, Agar Apka Koi Doubt hai ya phir koi Question hai ish Article Se related ya phir mere kisi aur article se related to niche comment karey main apni taraph se puri koshish karunga apki problem solve karne ki agar apko yeh article achha laga ho to isko apne dosto ke sath Facebook,Twitter, Linkedin Etc. Social network par share kijiye.



Read:-  Facebook Ke Bare Mai Jankari

Comments